Saturday, September 8, 2018

Mujhe Soney Nahin Deta - Love / Romantic Poetry

Mujhe Wo Door Apnay Se Kabhi
Hone Nahin Deta
Wo Meri Neend Ka Dushman Mujhe Soney Nahin Deta

Wo Jis Se Piyar Hota Hai Wohi Humko Rulata Hai
Jo Hum Se Piyar Karta Hai Hamain Roney Nahin Deta

Yeh Sach Hai Main Zamanay Se Alag Gum Sum Sa Rehta Hu'n
Magar Main Aapko Ankho'n Se Gum Hone Nahin Deta

Bicharte Waqt, Tumne Yeh Kaha Tha Huns Ke Ji Lena
Tumhara Be Raham Wada Mujhe Ronay Nahin Deta

Ajub Ek Kash Makash Main Usney Mujhko Daal Rakha Hai
Wo Mera Hai Magar Apna Mujhe Honey Nahin Deta

Zamaney Se Alag Sub Se Chupa Kar Dil Main Rakha Hai
Khazana Aapki Yado'n Ka Main Khoney Nahin Deta

Khuda Ne Kuch Na Kuch Mutrib Hamaray Bus Main Rakha Hai
Magar Wo Apni Marzi Ke Bina Honay Nahin Deta

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...