Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu
Nahi Dete
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata
Khamosh Khare Hu Saza Kyon Nahi Dete
Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete
Kahin Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki Waja Se
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyu Nahi Dete
Us Ne Tumhari Khaatir Kiya Kiya Nahi Kiya
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyu Nahi Dete
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyu Nahi Dete
Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri
Thora Sa Ese Mujh Pe Luta Kyu Nahi Dete
Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyu Nahi Dete
Ek Arsa Howa Chain Se Soye Howe
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyu Nahi Dete
No comments:
Post a Comment