Rozana Vo Samander Kinare Milte
The
Sapno Mai Khoye Rait Pai Chalte Rahte The
Hanso Ka Ek Joda Roz Kinare Baitha Karta Tha
Ye Dono Unn Se Bate'n Karte The
Ek Din Hansani Udass Akile Baithe The
Jaise Uske Sari Duniya He Rothe The
Daikh Ke Hansani Ko Aise Vo Dukhe Hogye
Usne Pucha Ek Dam Se Kiyo Chup Hogye
Vo Bole Daikho Hans Use Chor Kar Chala Gya
Kaise Ek Pal Mai Muhabbat Sari Bhula Gya
Vo Bola Parindo Ka Kiya Unnhe Samjh Nahe Hote
Unka Bhrosa Kiya Payar Karne Ke Bojh Nahe Hote
Phir Vo Roz Yu'nhe Milte Rahe
Hans O Hansni Ke Bate Karte Rahe
Hansni Roz Hans Ka Intezar Karte Rahe
Uske Dukh Ke Sath Payar Karte Rahe
Ek Din Hans Khushu'n Ka Payam Bankar Aya
Hansani K Liye Massrto Ke Sogat Lekar Aya
Uss Din Vo Uska Intezar Karte Rahe
Hanso Ke Jore Ko Daikhte Rahe
Use To Na Ana Tha Vo Nahe Aya
Vo Roz Uska Intezar Karte Rahe
Vo Roz Hanso Ke Jode Ko Daikha Karte Hai
Ghar Lot Te Vaqt Dukh Se Socha Karte Hai
Samjh Kis Me Nahe Insan Ya Parindo Mai
Hans O Hansni Loot Gye Apne Gharondo Mai
No comments:
Post a Comment