Wednesday, July 18, 2018

Aao Shaheedo Sar Karain - Political Poetry

Aao Shaheedo Sair Karain Tum Ko
Pakistan Ki
Jis Ki Khatir Tum Nay Di Qurbani Lakhon Jan Ki

Bum Dhmakon Aur Khud Kush Hamlon Ka Hai Bazar Yahan
Rob Sadarast Aur Jalan Ka Sab Kay Sar Par Khab Yahan

Boorhi Lagti Hai Muravat Nafrat Ka Har Vaar Jaman
Betee Pal Bas Yaden Hain Ab Asy Din Aur Raat Kahan

Asa Lagta Hai Sipah Utri Hai Ya Khakhan Ki
Kasy Tum Sar Karain Apne Pakistan Ki

Bolo Shaheedo O Shaheedo Kyon Banaya Pakistan
Nara Ye Tum Ne Kyon Lagaya Lay Ke Rahen Gay Pakistan

Apni Janat Apna Ghar Hi Kahlay Ga Pakistan
Aik Hi Dhun Thi Pakistan Pakistan Pakistan

Watan Mai Basnay Valon Nay Is Ki Tabahi Than Li
Kasy Tum Ko Sair Karain Pory Pakistan Ki

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...