Thursday, January 12, 2017

Marne Ke Baad - Sad Poetry

Marne Ke Baad Meri Yeh Kahani
Likhna
Kaise Hui Barbad Meri Yeh Jawani Likhna

Ye Likhna Usay Intizar Bohot Tha Kisi Ka
Akhri Saans Ki Kesay Hui Rawani Likhna

Jo Qasmain Khain Thi Piyar Main Us Nay
Un Qasmon Ka Kya Hua Us Per Mehrbani Likhna

Ye Bhi Likhna K Us K Hont Khushi Ko Taras Gaye Hain
Kitna Barsa Un Ankhon Say Pani Likhna

Aur Ye Bhi Likhna Dua Deta Tha Tujhay
Bahir Tha Kafan Say Haat Ye Nishani Likhna

Marne Ke Baad Meri Yeh Kahani Likhna
Kaise Hui Barbad Meri Yeh Jawani Likhna

Ye Likhna Usay Intizar Bohot Tha Kisi Ka
Aakhri Saans Ki Kesay Hui Rawani Likhna
 

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...