Aj Phir Koi Ghazal Tere Naam Na
Ho Jai
Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jai
Ker Raha Hoon Intzar Teray Izhar
Mohabat Ka
Kahin Is Intzar Me Mere Zindagi Tamaam Na Ho Jai
Nahi Laina Tera Naam Sur-E-Aam
Is Dar Se
Kahin Tera Nam Badnaam Na Ho Jai
Sochta Hoo Darta Hoo Aksar
Tanhai Me
Kahin Judai Mere Payaar Ka Anjam Na Ho Jai
Nahin Nikaltay Apne Dil Ko Tere
Dil Se
Kahin Tere Dil Me Kisi Or Ka Muqaam Na Ho Jai
No comments:
Post a Comment