Teri Yaad K Badely Mein
Ek Kasak Ne
Jab Se Dil Mein Jaga Li Hai
Tab Se Hi Ye Sochey Dil
Yahan Piyar Hoa Kerta Tha Kabhi
Jahan Aaj Faqat Pachtawey Hain
Dildar Hoa Kerta Tha Kabhi
To Ek Jawab Hi Milta Hai
Ye Piyar Jahan Bhi Hota Hai
Pachtawa Sath Mein Hota Hai
K
Piyar Pe Koi Zor Nahi
Ye Hai Qavi Bohat, Kamzor Nahi
Ye Jis Se, Jab, Jahan Ho Ga
Wahan Phoolon Ka Sama Ho Ga
Per Socho K
Phoolon K Sath
Kantey Bhi To Zarori Hain
Is Liye
Jahan Bhi Ho Ga Piyar
Pachtawey Bhi Majbori Hain
Ay Kash . . K Aisa Na Hota
Ay Kash . . Wahan Hum Na Jatey
Ay Kash . . Na Us Se Miltey Hum
Ay Kash . . Ay Kash
Monday, October 14, 2019
Pachtawey Ka Piyar - Sad Poetry
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry
Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...
-
Poet: Abdul Waheed Sajid مجھے سب کچھ ملا ہوتا اگر تم مل گئے ہوتے کسی سے نہ گلا ہوتا اگر تم مل گئے ہوتے کبھی تم نے جو بخشا تھا موسم میں جدائی...
-
Poet: Jamil Uzair ہاتھ چھوٹا ہے جب ہاتھ سے چنگاریاں نکلتی ہیں پھر راکھ سے مراسم بڑھیں تو حوصلے بھی بڑھاؤ، عزیر کئی پتے ٹوٹتے ہیں دن بھر شاخ ...
-
Poet: دل کے بازار میں دولت نہیں دیکھی جاتی پیار ہوجائے تو صورت نہیں دیکھی جاتی اک ہی انسان پر لٹا دو سب کچھ کیونکہ پسند ہو چیز تو قیمت نہیں ...
No comments:
Post a Comment