Monday, February 8, 2016

Dost Badal Gaee - Friendship Poetry

Yun Dost Saarey Apney Apney
Rastey Badal Gaye
Kuch Peechey Ruk Gaey To Kuch Aagey Nikal Gaye

Haalaat Ki Dhoop Zaraa Si Deir Ko Teiz Kya Hui
Jitney Wafaa Kay Peikar They Saarey Pighal Gaye

Waadoo Kay Taarey Raatoo Sey Baahar Na Jaa Sakey
Iraadoo Kay Din Nikalney Sey Pehley Hi Dhal Gaye


Wafaaon Kay Rang Shabnam Kay
Qatroo Ney Dho Deeye
Mohabbat Kay Phool Jazboo Ki Shiddat Sey Jal Gaye

Taanoo Kay Teer Dunya Ki Kamaanoo Pay Jab Charrhey
Sabar Kay Daaman Haathoo Sey Yak Dam Phisal Gaye

Aankhein Khulein To Khawaboo Ko Bura Laga Magar
Kuch Deir Wo Reh Ke Muztarib Khud Hi Behal Gaye

Pehley Pehal To Ajeeb Lagey Badley Huwey Chehrey
Phir Yun Huwa Kay Waqt Kay Saath Hum Bhi Sambhal Gaye

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...