Thursday, February 25, 2016

Dekhnay Wala Tha - General Poetry

Ag Lagi Ti Seena Seena Har
Shoola Jawala Tha
Ab K Shahar Me Roshnion Ka Manzar Dekhnay Wala Tha

Dawrawazy Par Paray Hoay Thay Dhair Shakista Khoabon K
Dalano Me Nafrat K Asaib Nay Daira Dala Tha

Galion Galion Bhatak Raha Tha Ik Sunhaira Khawab Jisay
Meray Baroon Nay Apni Lakhoon Neendain Baich K Pala Tha

Apni Apni Kashti Le kar Yoo Darya Me Kood Paray
Jesay Sirf Jahaz Hi Is Toofaan Me Dobnay Wala Tha

Amjad Yah Taqdeer Thi Uski Ya Qudrat Ka Kheel
Gira Jahan Par Raat Ka Panchi Thori Door Ujala Tha
 

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...