Thursday, October 25, 2018

Aey Kaash Nazar Dekhay - Religious Poetry

Aey Kaash Nazar Dekhay Woh
Rouzay Ka Nazara
Thandak Meri Aankhoun Ko Milay Dil Ko Sahara
Aey Kaash Nazar Dekhay Woh

Chartey Huay Tufaan Hein Tanha Hay Safeena
Hay Dil Ko Yaqeen Aap Pe Sarkar-E-Madina
Sarkar Bana Dee Jiyay Tufaan Ko Kinara
Aey Kaash Nazar Dekhay Woh

Phooloun Ki Mehak Mein Hein Basay Unn Ke Fasanay
Aaya Na Koee Aap Sa Guzre Hein Zamanay
Soorat Meray Aaqa Ki Hay Qura'an Yeh Sara
Aey Kaash Nazar Dekhay Woh

Aasaar Qayamat Ke Hein Mushkil Yeh Ghari Hey
Ummat Peh Hazoor Aap Ki Bus Aan Paree Hey
Hasnain Ke Sadqay Mein Ho Rehmat Ka Ishara
Aey Kaash Nazar Dekhay Woh

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...