Sub Sanson Ki Aik Sada Hai
Sub Jazbon Ka Aik Hai Naam
Jis Nay Hum Ko Izzat Bakhshee
Jis Nay Dee Hum Ko Pahchaan
Hamara Dais Pakistan
Hamara Dais Pakistan
Jis Ki Khatir Khoon Bahaya
Jis Ki Khatir Dee Hai Jaan
Aaj B Hum Sub Ko Hai Yaad
Un Shaheedon Ka Ehsaan
Hamara Dais Pakistan
Hamara Dais Pakistan
Eesa Jazba.E.Aazadi Tha
Eesa Mustaahkum Eeman
Karnay Ko Tayyar Thay Saray
Is Per Apni Jaa(N) Qurbaan
Hamara Dais Pakistan
Hamara Dais Pakistan
Ho Ga Roshan Mustaqbil
Jab Ho Ga Roshan Apna Eemaan
Mil Jul Kar Tum Qadam Barhao
Quaid Ka Tha Ye Farmaan
Hamara Dais Pakistan
Hamara Dais Pakistan
Is Ki Hifazat Farz Hai Apna
Is Ki Taraqqi Hamari Shaan
Is K Naam Sai Wabasta Hai
Hum Sub Ki He Izzat.O.Aan
Hamara Dais Pakistan
Hamara Dais Pakistan
Aao Mil Kar Qadam Barhain
Aur Bandhain Ehad.O.Peemaan
Eesa Watan Bana Dain Is Ko
Rah Jay Duniya Hairaan
Hamara Dais Pakistan
Hamara Dais Pakistan
Eesay Apna Farz Neebhaain
Eesay Banain Apni Pechaan
Jub Koi Pochay Kis Nay Sanwwara
Zoor Sai Boolain Pakistan
.
Hamara Dais Pakistan
Hamara Dais Pakistan
No comments:
Post a Comment