Friday, January 5, 2018

Kabhi Ansu Kabhi Suski - Sad Poetry

Kabhi Aansoo,Kabhi Siski,Kabhi
Matam Utha Laaya
Khuda Jaane Kahan Se Yeh Jahan Ke Gham Utha Laaya

Kabhi Jazbaat Ke Tukre Kabhi Ghamnaak Tariki
Kabhi Ashkoon Mein Dooba Jazba E Barham Utha Laaya

Kissi Masoom Bache Ki Nigahoon Mein Chalakti Thi
Chupa Ke Apni Palkoon Mein Wohi Shabnam Utha Laaya

Kissi Be Bas Ki Faryadeen Kissi Masoom Ki Siski
Issi Dard O Alam Ki Souz Ki Sargam Utha Laaya

Qamar Meri Tamana Thi Nigah E Yaar Mil Jaati
Magar Pagla Yahan Bi Eik Chashm E Nam Utha Laaya

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...