Friday, January 19, 2018

Ek Thi Larki Meri Saheli - Love / Romantic Poetry

Ek Thi Larki Meri Saheli
Saath Pali Aur Saath Hi Kheli

Phoolon Jaise Gaal The Uske
Resham Jaise Baal The Uske

Ham Usko Gudiya Kehte The
Rangon Ki Pudiya Kehte The

Ek Din Usne Bholepan Se
Poochha Ye Papa Se Ja Ke

Ab Main Khush Rehti Hu Jaise
Sada Hi Kiya Khush Rahungi Aaise

Papa Bole Meri Bachi
Baat Bataun Tujh Ko Sachhi

Kal Ki Baat Na Koi Jaane
Kehte Hain Ye Sabhi Siyaane

Ye Mat Socho Kal Kiya Hoga
 Jo Bhi Hoga Acha Hoga

Bachpan Beeta Aai Jawaani
Larki Ban Gayi Roop Ki Raani

College Mein Ithalaati Phirti
Bal Khaati Lehraati Phirti

Ek Sundar Chanchal Larke Ne
Chhup-Chhup Kar Chupke-Chupke Se

Larki Ki Tasveer Banai
Aur Ye Keh Kar Use Dikhai

Is Par Apna Naam To Likh Do
Chota Sa Pegham To Likh Do

Larki Pehle To Sharamaai
Phir Man Hi Man Mein Muskaai

Ik Din Usne Bholepan Se
Poocha Ye Apne Saajan Se

Ab Main Khush Rehti Hu Jaise
Sada Hi Kiya Khush Rahungi Aaise

Usne Kaha Ke Meri Raani
Itni Baat Hai Maine Jaani

Kal Ki Baat Na Koi Jaane
Kehte Hain Ye Sabhi Siyaane
 
Ye Mat Socho Kal Kiya Hoga
Jo Bhi Hoga Acha Hoga

Ik Paradesi Door Se Aaya
Larki Par Haq Apna Jataaya

Ghar Waalon Ne Haami Bhar Di
Pardesi Ki Marzi Kar Di

Piyaar Ke Waade Huve Na Poore
Reh Gae Saare Khwaab Adhoore

Chor Ke Saathi Aur Hamsae
Chal Di Larki Des Parae

Do Banhon Ke Haar Ne Roka
Vadon Ki Deewaar Ne Roka

Ghaayal Dil Ka Piyar Pukara
Anchal Ka Har Taar Pukara

Par Larki Kuch Munh Se Na Boli
Patthar Ban Kar Gair Ki Ho Li

Ab Gumsum Hairaan Si Hai Wo
Mujhse Bhi Anjaan Si Hai Wo

Jab Bhi Dekho Chup Rehti Hai
Kehti Hai To Ye Kehti Hai

Kal Ki Baat Na Koi Jaane
Kehte Hain Ye Sabhi Siyaane

Ye Mat Socho Kal Kiya Hoga
Jo Bhi Hoga Acha Hoga

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...