Monday, January 29, 2018

Derwaish - General Poetry

Umer Guzurti Hay To Durwaish
Bunta Hay Insan
Jeenay Ka Fun Ata Ho To Ji Lata Hay Insan

Dukhon Aur Takleef Kay Thuparay Seh Ker Bhi
Ansuwon Ko Hansi Kay Ghilaf Main Chupa Lata Hay Insan

Zamano Makan Ki Kaid Main Reh Ker Bhi
Faqiri Chor Ker Shahansha Bana Phirta Hay Insan

Silsala-E- Hasbo Nasab Per Maan Rukhtay Howay
Sawab Chor Gunah Ker Kay Itrata Rehta Hay Insan

Pani Kay Bulbulay Ki Terha Hay Zindagi,Sumujh Ker Yeh
Dunya Ko Apni Manzil Sumujh Ker Bhagta Phirta Hay Insan

Kuber Ki Wehshut Aur Andhairon Ko Bhool Ker
Khaki Zameen Per Maghroor Bana Phirta Hay Insan

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...