Tamasha Ban Kar Reh Gayi Hai
Reh-Guzar Yeh Meri
Na Jaane Kis Talaash Mein
Yeh Zindagi Hai Meri
Saji Thi Mehfil Kal Yaaron Ki
Khushiyon Ki Lai Thi Saugat
Aaj Na Koi Dost Na Parchai Hai
Soone Palon Se Bhari
Yeh Zindagi Hai Meri
Sannate Ki Aahat Pe
Dil Kuch Ghabraaya Tha
Jab Din Thak Kar Chupke Se
Dhalne Ko Aaya Tha
Roshan Kaei Chirag Par
Yaadon K Andheron Mein Simat-Ti
Yeh Zindagi Hai Meri
Nigaahen Aaj Bhi Uska Rasta Dekhti Hain
Us Ajnabi Ki Dharkan Pehchanti Hain
Ek Khwahish K Saroor Pey Zinda
Khone K Hunar Se Bhari
Yeh Zindagi Hai Meri
Tere Mere Milan Ki Yeh Raaina
Kuch Pal Mein Dum Tord Gai
Khauf Ki Jeet Ka Jashn Dekh
Apni Haar Ka Matam Manaati
Yeh Zindagi Hai Meri
Tamasha Ban Kar Reh Gayi Hai
Reh-Guzar Yeh Meri
Na Jaane Kis Talaash Mein
Yeh Zindagi Hai Meri
No comments:
Post a Comment