Sunday, January 5, 2020

Zamane Beet Jate Hain - General Poetry

Kabhi Nazrain Milane Main Zamane
Beet Jate Hain
Kabhi Nazrain Churane Main Zamane Beet Jate Hain

Kisi Ne Ankh Bhi Kholi To Sone Ki Nagri Main
Kisi Ko Ghar Banane Main Zamane Beet Jate Hain

Kabhi Kali Siyah Ratain Ek Pal Ki Lagti Hain
Kabhi Ek Pal Bitane Main Zamane Beet Jate Hain

Kabhi Khola Ghar Ka Darwaza To Samne Thi Manzil
Kabhi Manzil K Aane Main Zamane Beet Jate Hain

Ek Pal Main Toot Jate Hain Umar Bhar K Rishte
Woh Rishte Jo Banane Main Zamane Beet Jate Hain

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...