Ajab Pagal C Larki Hai
Mujhe Her Roz Kehti Hai
Batao Kuch Naya Likha
Main Jab Bhi Uss Se Kehta Hoon
Haan Ik Nazm Likhi Hai
Mgar Unwaan Dena Hai
Bhot Bechain Hoti Hai
Wo Kehti Hai
Acha Sunao
Main Ussy Ik Acha Sa Unwaan Deti Hoon
Wo Meri Nazam Sunnti Hai
Or Usski Bolti Aankhain
Kisi Missray Kisi Tashbeeh Per Yu Muskurati Hain
Mujhe Lafzoon Se Kirrnain Photti Mehsoos Hoti Hain
Wo Meri Nazm Ko Acha Sa Ik Unwaan Deti Hai
Or Uss K Aakhri Missray K Neechy Ik Ada-E-Benayazi Se
Wo Apna Naam Likhti Hai
Main Kehta Hoon
Suno
Ye Nazm Meri Hai
To Phir Tum Ne Kyon Apny Naam Se Mansoob Ki Hai"
Meri Ye Baat Sun K Usski Aankhain Muskurati Hain
Wo Kehti Hai
Bara Sada Sa Rishta Hai
K Jesy Tum Mery Hoo
Iss Terha Ye Nazm Meri Hai
Ajab Pagal C Larki Hai
Friday, January 10, 2020
Ajeeb Larki Hy - Love / Romantic Poetry
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry
Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...
-
Poet: Abdul Waheed Sajid مجھے سب کچھ ملا ہوتا اگر تم مل گئے ہوتے کسی سے نہ گلا ہوتا اگر تم مل گئے ہوتے کبھی تم نے جو بخشا تھا موسم میں جدائی...
-
Poet: Jamil Uzair ہاتھ چھوٹا ہے جب ہاتھ سے چنگاریاں نکلتی ہیں پھر راکھ سے مراسم بڑھیں تو حوصلے بھی بڑھاؤ، عزیر کئی پتے ٹوٹتے ہیں دن بھر شاخ ...
-
Poet: دل کے بازار میں دولت نہیں دیکھی جاتی پیار ہوجائے تو صورت نہیں دیکھی جاتی اک ہی انسان پر لٹا دو سب کچھ کیونکہ پسند ہو چیز تو قیمت نہیں ...
No comments:
Post a Comment