Thursday, January 16, 2020

Woh Chehra Chaand Jesa Tha - Sad Poetry

Woh Chehra Chaand Jesa Tha Woh
Zulfain Shaam Ki Soorat
Woh Lab Phoolon K Jesay Hain Woh Aankhen Jaam Ki Soorat

Usi Ki Yaad Ka Darya Humaray Pass Bikhra Hai
Kaheen Aalam Ki Soorat Kaheen Aaraam Ki Soorat

Main Jab Kuch Likhna Chahoon To Meri Ghazlon Main Nazmon Main
Utar Ati Hai Woh Larki Kisi Ilhaam Ki Soorat

Koi Ek Larki Batla Do Jo Itni Khoobsoorat Ho
Koi Ek Naam Batla Do Haseen Us Naam Ki Soorat

Wafa Ko Dhoondanay Niklay Haseen Chehron K Andar Hum
To Zahir Hai K Laoten Gay Kisi Nakaam Ki Soorat

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...