Sunday, February 26, 2017

Odaasi - Funny Poetry

Rozana School Jane Ka Mujhe Shoq
Nahi Hai
Kitaabon Mein Sar Khapane Ka Mujhe Shoq Nahi Hai

Sar Jukha Leta Hoon Mein Teacher K Hazoor
Warna Faltu Dant Khane Ka Mujhe Shoq Nahi Hai

Meri Awaz Meri Shakal Hi Kuch Aaese Hai
Warna Bachoon Ko Darana Ka Mujhe Shoq Nahi Hai

Palish Kar Sakta Hoon Mein Apne Jutoon Ko Magr
Aaese Takleef Uthane Ka Mujhe Shoq Nahi Hai

Mazmoon Hain Kitne? Naam Hain Kia? Perna Hai Kia?
Itnee Gehraai Mein Jane Ka Mujhe Shoq Nahi Hai

Shaaram Se Doob Marne Ko Milta Nahi Paani Adil
Shuker Hai Roz Nahane Ka Mujhe Shoq Nahi Hai

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...