Friday, February 17, 2017

Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai - Sad Poetry

Teyri Rehmaton Kay Diaar Main
Teray Badlon Ko Pata Nahi
Abhi Aag Sard Hui Nahi Abhi Aik Alao Bhuja Nahi

Meyri Nurm-E-Dil To Ujar Chuki Meyra Furz-E-Jan To Simatt Chuka
Sabhi Ja Chukay Meray Humnashee'n Magar Aik Shaks Gia Nahi

Dar-O-Baam Sub Nai Saja Liye Sabi Roshni Mey Niha Liye
Meri Unglian Bhi Jhulas Gaiey Magar Aik Charagh Jala Nahi

Gham-E-Zindagi Teri Rah Main Shab-E-Aarzu Teri Chah Main
Jo Ujar Gia Wo Basa Nahi Jo Bichar Gaya Wo Mila Nahi

Jo Dil-O-Nazar Ka Saroor Tha Meray Paas Reh Kay Bhi Door Tha
Wohi Ek Gulaab Umeed Ka Meri Shah-E-Jan Per Khila Nahi

Pas-E-Karwan Sur-E-Rahguzar Mey Shikista Pa Hun To Iss Liye
Kay Qadam To Sub Ney Mila Liye Meyra Dil Kisi Sey Mila Nahi

Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai To Ajeeb Tar Hun Main Aap Bhi
Mujhey Manzilon Ki Khabar Nahi Ussey Raaston Ka Pata Nahi
 

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...