Zakham Muskuratay Hain Ab Bhi
Teri Aahat Per
Dard Bhool Jaatey Hain Ab Bhi Teri Aahat Per
Shabnami Sitaron Per Phool Khilnay Lagtay Hain
Chaand Muskuratay Hain Ab Bhi Teri Aahat Per
Umer Kaat Dii Lekin Bachpana Nahin Jaata
Hum Diye Jalatey Hain Ab Bhi Teri Aahat Per
Ghantiyan Sii Bajti Hain Raqs Honay Lagta Hai
Dard Jagmagatey Hain Ab Bhi Teri Aahat Per
Teray Hijar Mein Hum Per Ik Azaab Taari Hai
Chonk Chonk Jaatey Hain Ab Bhi Teri Aahat Per
Teri Yaad Aaye To Neend Jaati Rehti Hai
Chaand Muskurata Hai Ab Bhi Teri Aahat Per
Ab Bhi Teri Aahat Per Aas Lout Aati Hai
Askh Hum Bahatey Hain Ab Bhi Teri Aahat Per
No comments:
Post a Comment