Monday, April 29, 2019

Baad-E Saba - Religious Poetry

Apne Sang Lay Chal Mujhay Baad-E
Sabaa
So Rahay Hein Jis Shehar Kher-Ul-Waraa

Mousmoun Mein Bhi Hay Unn Ki Roshni
Keh Rahi Hay Phelti Qous-E Quzzah

Husn Unn Ka Hay Bayan Qur'aan Mein
Zulf Hay Wallail Tou Rukh Wad-Duhaa

Sub Se Pehlay Aap Ko Paida Kiya
Yeh Khuda Ke Payaar Ki Thi Inteha

Jiss Ko Rakhay Khud Khuda Sanbhaal Ker
Naam Woh Pyaraa Muhammad Mustafa

Hay Madinay Ka Alug Apna Mizaaj
Dekhiyay Chalnay Lagi Thandi Hawaa

Gour Mein Aayein Gay Jab Munkar Nakeer
Ek Tumharay Naam Ka Hay Aasera

Baksh Day Saari Khataaein Ae Khuda
Rehmat- Ul-Lil-Aalameen Ka Waasta

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...