Monday, January 14, 2019

Khazan Ka Afsana Ha - Political Poetry

Khazan Ka Afsana Ha Bahar Ka
Unwan Ha
Dil Main Adawat Ha Or Chahra Payar Ka Unwan Ha

Ya Matlab Ka Zamana Ha Yahan Koi Nahi Apna
Jafakar K Mathay Par Wafadar Ka Unwan Ha

Janay Konsi Majburi Inhain Kayal Karti Ha
Undar Inkar Ki Surat Main Bahir Iqrar Ka Unwan Ha

Yahan Zameer Hi Murda Hain Ya Log Nahi Parhtay
Ab Lahu Hi Lahu Saray Akhbar Ka Unwan Ha

Marnay K Siwa Dil Main Ab Koi Nahi Hasrat
Is Hal Main Ya Zindgi Baikar Ka Unwan Ha

Maray Hal Sa Nawkif Ya Zamana Kia Janay
Mari Ankhoon Ki Lali To Intzar Ka Unwan Ha

Aay Hakam-E-Waqat Tu Kisi Firoon Sa Badtar Ha
Taray Ahad Ka Har Lamha Intshar Ka Unwan Ha

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...