Monday, April 24, 2017

Hum Woh Nahin - General Poetry

Pinjare Mein Band Parindei Ko
Kehtei Suntei Hein
Hum Woh Nahin Gin Gin Kar Sans Jo Liya Kartei Hein

Mojon Ke Shor Ko Tum Suna Kartei Ho
Hum Woh Nahin Sar-E-Aam Jo Kehtei Phirtei Hein

Gosha-E-Kalb Se Parei Tum Raha Kartei Ho
Hum Woh Nahin Zarb Jo Diya Kartei Hein

Jab Jantei Hi Nahin Tum Bhool Jatei Ho
Hum Woh Nahin Bhool Jo Jaya Kartei Hein

Humein Maghroor Dekh Kar Tum Muskuratei Rehtei Ho
Hum Woh Nahin Bay-Rabt Jo Dikhai Diya Kartei Hein

Kion Nazron Ke Tarazoo Mein Tum Tola Kartei Ho
Hum Woh Nahin Pus Jo Nazar Aaya Kartei Hein

Aur Iskei Mein Ye Kehna Chahoon Gi K Jinko Ye Ghazal Pasand Ati Hei, Ya Phir Jo
Behtar Ya Phir Lihknei Mein Maharat Rakhtei, Wo Is Ghazal Mein Jo Bhi Khamiyan
Ya Phir Ghalatiyan Mehsoos Kartei Hein, Iskei Barei Mein Mujhe Agha' Karein
Takei Mein Behtar Likh Sakoon. Shukriya.
 

No comments:

Post a Comment

Hum Milay Hi Kyun They - General Poetry

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey Munjmind H...