Friday, December 29, 2017

Faisla - Sad Poetry

Utha

Ker Faisla Rakha Gaya Tha
Ajab Ek Raasta Rakha Gaya Tha

Merey Haq Main Gawahi Koun Deta
Sada Ko Bey Sada Rakha Gaya Tha

Koi Sunta Kahan Tha Kuch Hamari
Salook-E-Naarwa Rakha Gaya Tha

Hamari Zindagi Mushkil Nahi Thi
Achanak Haadsa Rakha Gaya Tha

Duain Mustarid Hotin Bhi Kaisy
Tumhara Wasta Rakha Gaya Tha

Sitam Ki Raat Ka Aaghaaz Ker K
Sehar Sey Raabta Rakha Gaya Tha


 

No comments:

Post a Comment